Har bar mujay zakhm-e-judai na diya kar,
AGer tu mera ni to muj ko dekhai na diya ker,
Sach jhoot teri aankh se ho jata hy zahir,
Qasmein na utha itni safai na diya kar,
Maloom hy tu rehta hy muj se gurezaan,
Pas aa k muhabbat ki duhai na diya kar,
Taufiq ni Agar tuj ko wada nibhany ki,
Auron ko b tu dars-e-bhalai na diya kr,
Urr jayen to phir lot k kab atay hain''
Har baar prindon ko rahai na diya kar.
No comments:
Post a Comment