Aaj aisa kertay hein !
Be sadaa lafzon me,
Wajah-e-zindagi keh k
Wasal ki zarurat per
Phir se zoor detay
hein .... !!!
Aaj aisa kertay hein !
Zikr wohi kertay hein
Naam aur detay hein
Zabt ke kinaaron se
Dard aan lipta hai
Toot-tay kinaaray ab
Dard aur detay hein ..... !
Aaj aisa kertay hein !
Dard se ulajhtay hein
Zabt chorr detay hein
Taar Taar daaman ko
Khaar khaar raahon me
Ranjishein bhula k Hum
La ke jorr detay hein ...
Aaj aisa kertay hein !
Khud nahin palat-tay hein
Raah morr detay hein
Sabz sabz mausam me
Laal laal aankhon k
Khwaab ki ragon se Hum
Khoon nichorr detay
hein .... !
No comments:
Post a Comment