Gulaab Aankhen sharab Aankhen
Yehi to hain la-jawab Aankhen
Inhi main ulfat inhi main Nafrat
Sawab Ankhen, Azaab Aankhen
Kabhi nazar main bala ki Shokhi
Kabhi sarapa hijab Aankhen
Kabhi chupati hain raaz Dik K
Kabhi hain Dil ki kitab Aankhen
Kisi ne dekhi to jheel jesi
Kisi ne payeen sAraab Aankhen
Wo aye to log mujhse bolen
Huzoor Aankhen,
Janab Aankhen
Ajeeb tha guftagu ka Aalam
Sawal koi,
Jawab Aankhen
Ye mast be misaal Aankhen
Musawari ka kamal Aankhen
Sharab rab ne Haraam kar di
Magar q rakhi halal Aankhen
Hazaaro in p Qatal hongy
Khuda ki bandi sambhal Aankhen,,,
No comments:
Post a Comment