So ja k abhi chaand sar-e-baam nahi hai,
Yeh raaz-e-muhabbat abhi ilzaam nahi hai,
Is aashiq-e-nadaan ki khabar kuch to liya kar,
Maana k tere dil mein mera naam nahi hai
Woh shakhs bhi kya shakhs tha, khushbu ki tarah tha,
Khushbu bhi woh jo sheher mein ab aam nahi hai,
Madhosh huye jaatey ho aankhon ki nami par,
Yeh aankh k moti hain, koi jaam nahi hai,
Yeh piyaar ki nazmein, yeh muhabbat bhari baatein,
tumhein or koi kaam nahi hai...
No comments:
Post a Comment