Wednesday, 16 April 2014

Bari tarap hai meri iltaja k pardey mein,

Bari tarap hai meri iltaja k pardey mein,
Main tum ko maang raha hon dua k pardey mein,

Usey b darr hai k ye raaz khul na jaye kahin,
Likhta hai naam mera wo hina k pardey mein

Main Uss k koochey se guzra to ye mehsoos hua,
Mujhe pukara hai Uss ne hawa k pardey mein,

Ajeeb Tarz-e-maseehaai Us ne dikhlaai
Hayaat meri badal di dua k pardey mein

Is tarha chehra Chhupaya ha zulf mein Us ne
K jaise chaand chhupa ho ghataa k pardey mein.

No comments:

Post a Comment