Guzry waqt ko bhula dena asaan nahi hota"
Ghamon ko hansi mein chupa lena asaan nahi hota"
Zururi nahi k poori ho har khwahish lekin"
Apni khuwahish ko daba lena asaan nahi hota"
Maana k tooty howay phooloon se khushboo nahi aati"
Magar unhen kitabon mein sajaa lena asaan nahi hota"
Koi aur bhi us k baad aa sakta hai magar DosT,
Har kisi ko dil mein jaga dena asaan nahi hota...
No comments:
Post a Comment