Wednesday, 30 April 2014

Na Kar Ishq-o-Piyaar Ki Baaten, Apni Hudood Mein Reh

Na Kar Ishq-o-Piyaar Ki Baaten, Apni Hudood Mein Reh
Barh Na Bahut, Apni Makhtas-o-Mehdood Mein Reh

TU Karta Hai Fazaon Mein Shauq Urrne Ka
Nahi Hai TU Shaheen, Apni Wujood Mein Reh

Saath Hai Tera Sab Se Achi Waqton Tak
Lekin Waqt-e-Gham Bhi TU Shumaar-o-Maujood Mein Reh

Har Kisi K Liye Apne Dil Mein Rakh Bus Piyaar
Kisi K Liye Bhi Na TU Nafrat-e-Mardood Mein Reh

Fitrat Mein Gar Hai Teri Nafrat Ka Zehar Bassa
Acha Hai Is Se K Bus Mafqood Mein Reh.

Khuwaab Ban Kar Meri Nazar Mein Raho..

Khuwaab Ban Kar Meri Nazar Mein Raho..
Tum Ko Haq Hai Tum Apne Ghar Mein Raho..

Kiyon Bhalaa Zid Hai Laut Jaane Ki..?
Saath Mere Isi Safar Mein Raho.

Mujh Mein Rakh K Bhula Do Khud Ko Tum..
Is Tarah Ishq K Asar Mein Raho..

Dil Mein Jo Bhi Hai Khul K Keh Do Naa..
Jaana Ab Kiyon Agar Magar Mein Raho..

Hai Ye Khuwaahish Zameen Pe Aa Jaao..
Aarzoo Ban k Mat Qamar Mein Raho..

Dil k Aangan Mein Aa K Bas Jaao..
Kon Kehta Hai Bus Dagar Mein Raho..?

Meri Har Baat Bhi Ho Jaaye Ghazal..
Lafz Ban Kar Jo Tum Hunar Mein Raho..

Monday, 28 April 2014

Nazron Se Nazrain Milen To Bura Maan Gaye

Nazron Se Nazrain Milen To Bura Maan Gaye

Hm Ne Aankhon Say Ishara Kia To Bura Maan Gaye

Mohabbat Ka Izhar To Unhon Ne Bhi Kia

Haal-E-Dil Hum Ne Sunaya To Bura Maan Gaye


Har Baat Pe Muskurana Aadat Thi Un Ki

Zara Hum Ne Hasaya To Bura Man Gaye

Humain Aazmanay Ki Bat Kartay Thay Wo Aksar

Jb Hum Ne Aazmaya To Bura Man gay

Pyar Main Bewafai Na Karna Aksar Wo Kehtay Thay

Is Bat Ko Main Ne Doharaya To Bura Man gaye.

jab qalam chalta h tu apne Dil ki aawaz likhta hon

jab qalam chalta h tu apne Dil ki aawaz likhta hon
gham or judai K hijar-O-saal likhta hu

mere aansuon ka gir Na bekaar Mat samajh Na
me teri guftugu ka andaaz likhta hu

log puchte h mere bikhar jane ka sabab
me is ko aik buhat bara raaz likhta hon

rukte nahi hain meri aankho se aansu
me jab bhi teri yaad me alfaz likhta hu

jab bhi zikr ata he meri tanhai ka
me tujhi ko aghaz 0r tujhi ko anjam likhta hu..

Sunday, 27 April 2014

Muhabaton ne kaisa kamaal ker dala."

Muhabaton ne kaisa kamaal ker dala."

"Humain to udasyon ki misaal kar dala."

"Kabhi milain to pouchain gay ik doujay se"

"K kis ko kis k gham ne nidhaal kar dala"

"Tu bata us se kya kahon ge mein"

"Meri udasi pe jo kisi ne sawaal kar dala"

"Suna tha zindagi ka safar bohat mushkil hai"

"Or hum ne ker k muhabbat or b muhaal kar dala.

Pehlay to bohat
yaad kiya kertay thay tum,
dost

Ab aisa bholaya tum ne k Kamaal ker dala.

Halaat K Pinjron Main Giraftar Musalsal,

Halaat K Pinjron Main Giraftar Musalsal,

Jee Apna Raha Khud Se Bhi Bezar Musalsal,

Is Shehr Main Jab Jab Bhi Koi Jurm Howa Hai,

Hum Log Hi Thehre Hain Saza-War Musalsal,

Jaise Meri Ankhain Hain Tere Hijar Main Royein,

Yon Roye Na Koi Bhi Mere Yaar Musalsal,

Izhar Mein Hum Ne To Koi Farq Na Chhora,

Us Tarf Se Hota Raha Inkar Musalsal,

Ay Umr Bata Phir Tujhe Kaise Main Guzaroon,

Sadmaat Se Rehte Hain Hum Do Char Musalsal,,

Mere Jaise Ban Jaao Ge, Jab Ishq Tumhein Ho Jaaye Ga

Mere Jaise Ban Jaao Ge, Jab Ishq Tumhein Ho Jaaye Ga

Deewaaron Se Takraao Ge, Jab Ishq Tumhein Ho Jaaye Ga

Tanhaai K Jhoole Jhoolo Ge, Har Baat Puraani Bhoolo Ge

Aaine Se Ghabraao Ge, Jab Ishq Tumhein Ho Jaaye Ga

Jab Sooraj Bhi So Jaaye Ga, Aur Chaand Kaheen Kho Jaaye Ga

Tum Bhi Ghar Der Se Aao Ge, Jab Ishq Tumhein Ho Jaaye Ga

Bechainiyaa'n Jab Bhar Jaayen Gi, Aur Yaad Kissi Ki Aaye Gi

Tum Meri Hi Ghazalein Gaao Ge, Jab Ishq Tumhein Ho Jaaye Ga...

Kuch To Hai...

Kuch To Hai...
Tu Badal Gaya Hai...

Wo Teri Aankhon Main Khwab Saarey,
Wo Baatein Saari,
Hisaab Saarey,
Sawaal Saarey,
Jawaab Saarey,
Wo Khushiyaan Saari
Wo Dukh Saarey,
Nasha Tha Jo Wo Uter Gaya Hai,

Kuch To Hai.....
Tu Badal Gaya Hai....

Jo Tere Milne Ki Aarzu Thi, Hoi Jo Chahat Abhi Shuro Thi,
Jo Teri Aankhon Main Roshni Thi,
Jo Teri Baato'n Ki Raagni Thi,
Jo Teri Saanso'n Ki Taazgi Thi,
Jo Tere Lehjey Mei Chashni Thi,
Wo Saari Baatein Badal Gai Hain,

Kuch To Hai.....
Tu Badal Gaya Hai...!!

Saturday, 26 April 2014

Mudat hoi k chehra- e- yar nahi dakha,

Mudat hoi k chehra- e- yar nahi dakha,

Wo ankhen nahi dekhi wo rukhsar nahi dekha,

Raat k in haseen lamhon main jab tu yad aata hai,

Yehi sochta hon akeley main k wo dildaar nahi dekha,

Bohot pur sukoon tha safar jab sath thay hum donu,

Her zuban se suna hum ne k in jesa pyar nahi dekha,

Kya hua k achanik tum itne badal gye,
""
K hum ne kabhi pehly tum main is tarha inkaar nahi dekha.

Hum KhO Gay To Pachtao Gy Bohat

Hum KhO Gay To Pachtao Gy Bohat

Hamain Loat Kr Aany Ki Aadat Nhi Hy

Tery Drr PR Muhabat K Sawali Ban Jaaty

Lekin Haath Phailaany Ki Aadat Nhi Hy

Teri Yaaden Aziz Hen Bohat

Mgar Ab Waqt Ganwany Ki Aadat Nhi Hy

Tum pathr Dil Nikly Kya Gila Karen Hum

Shikwa.e.Dil Lab Pr Laany Ki Aadat Nhi Hy

Bad-Duaa B Kya Karen Huq Main Tumhary

Hamay To Dil B Dukhany Ki adat nhi..

Suno!! Mujh se ruthna mat,

Suno!! Mujh se ruthna mat,
Muje rona nhi ata..
Mujh se door mat jana,
Muje khona nhi ata..

Main to mar hi jaon gi
K tum bin jeena mushkil hai..
Jo dard tum dena chahte ho
mujhe pena nhi ata...

Tum to reh Lo gy,
saath kisi aur k mgr..
Main kia krun k mujhe,
RASTA badalna b nhi ata..

Tum to waaqif ho,
Andaza-e-Guftugu k..
Mujhe to baat krne ka,
salika b nhi ata.

Tum to jeet jate ho,
Larr jhagar kr b
Dekho muje to Larna b nhi ata,
Tum to khush reh lo gye mere bin,
Dekho tumhare bin to mujay jeena bi ni ata.

Udaas shamon me lot kr wo aana bhol jata hai,

Udaas shamon me lot kr wo aana bhol jata hai,
Kar k khafa mujhko manana bhol jata hai,

Inhi Aaditoon ne us ki, mujhe badnam kr dala,
Wo likh k naam dewaron pe,
mitana bhol jata hai,

Mat poch muhabbat mai laa par wahi us ki,
Dy k zakham wo marham,
lagana bhool jata hai,

Kitna dilnasheen hota hia uski yaad ka manzr,
Wo jb bi yaad aata h zamana bhol jata h...

Matti k jitne ghar main banata chala gaya,

Matti k jitne ghar main banata chala gaya,

Ik shaks khafa ho k girata chala gaya,

Woh mujh se bohat door door bhagta raha,

Jitna main us k naaz uthata chala gaya,

Ik mere waste hi us ne dard rakhe the baki,

To wo har ik ko hasata chala gaya,

Thi hath mein taqat magar dil nahin mana,

Us k siwa main sub ko harata chala gaya,

Dil mein us ki yad k jitne chiragh the roshan,

Un ko bhi wo sitamgar bhujata chala
Gaya.

Aitbar-E-waqt Pe be-Ikhtiyar Ho k Ro Parey,

Aitbar-E-waqt
Pe be-Ikhtiyar Ho k Ro Parey,

Kho Kar Kabhi Usey To Kabhi Pa K Ro Parey,

Khushyan Hamarey Pass Kahan Mustaqil Rehein,

Bahir Kabhi Hansey To Ghar Aa k Ro Parey,

Gila Nahi Kisi
Se Sab ilzaam Apney Sir K Hen,

Uss k Dard Main Qeyd They Magr Azaad Ho K Ro Parey,

Hamara Bhi
Ajeeb Haal Hai Kisi Haal Main Khush Nahi
"
Dukh Hi Itney Miley k Sukh
Pa k Ro Parey....

Wo Mere Ghar se Guzra to Bhot Roya,

Wo Mere Ghar se Guzra to Bhot Roya,
Dunya k Dard Main Bikhra to Bhot Roya,

Wo kahta Tha k Main Jee Lon ga Tumhare siwa
Par Jab wo Mujh se Bichra to Bhot Roya,
Wo kahta tha K main Tera Nhi hon,
Jab mujh ko Yad kar Ke soya to Bahot Roya,

Kabhi to Mujh ko Yad Bhi na kiya karta tha,
Ab jo Mere khayalon me khoya to Bhot Roya,

Meri chahat Ko wo samajh Na paya
"A "Dost"
Jab wo kisi aur ka huwa to Bahot Roya.

Chaman Mein Aap Gharri Bhar Bhi Jo Theharte Hain,

Chaman Mein Aap Gharri Bhar Bhi Jo Theharte Hain,
To Rang Aata Hai Kaliyoon Pe, Gul Nikharte Hain,

Nazar Nazar Se Kabhi Qatal-e-Aam Hota Hai,
Nazar Nazar Se Muqaddar Kabhi Sanwarte Hain,

Shikast-o-Reekht Ka Maatam kabhi Nahi Kartey,
Khudi Ho Jin ki Tawaana Wo Phir Ubharte Hain,

Ruko Na Manzil-e-Maqsood Se Kaheen Pehley,
Hawaa Mein Urrtey Parinde Kahaan Theharte Hain,

Ajeeb Cheez Hai Insaan ka Dil Bhi,
Mitey Jo Aik Bhi Armaan To Sau Ubharte Hain.

Thursday, 24 April 2014

So ja k abhi chaand sar-e-baam nahi hai,

So ja k abhi chaand sar-e-baam nahi hai,
Yeh raaz-e-muhabbat abhi ilzaam nahi hai,

Is aashiq-e-nadaan ki khabar kuch to liya kar,
Maana k tere dil mein mera naam nahi hai

Woh shakhs bhi kya shakhs tha, khushbu ki tarah tha,
Khushbu bhi woh jo sheher mein ab aam nahi hai,

Madhosh huye jaatey ho aankhon ki nami par,
Yeh aankh k moti hain, koi jaam nahi hai,

Yeh piyaar ki nazmein, yeh muhabbat bhari baatein,
tumhein or koi kaam nahi hai...

Ye dil to tere naam pe qurban kar diya..

Ye dil to tere naam pe qurban kar diya..
Hum ne to apni jaan ko bhi be-jaan kar diya..

Rakhte nahi ho shoq tum didar ka mere,,
Ankhon ko apni mujh se hi anjan kar diya..

Hum to samjhte thy k nibhaoge saath tum,,
Tanha mujhe chhor k parishan kar diya..

Kuch saal tum mere dil mai to rehte,,
Nilaam kar k mujh ko be-makaan kar diya..

Karni thi Bewafai to ChupKe se ki hoti,,
Tum ne to bewafai ka Ailaan Sare E Aam Kar Diya...

Meri mohabat mere jazbaat sirf tum se hain.

Meri mohabat mere jazbaat sirf tum se hain.
dekho meri duniya meri Kaainat sirf tum se hain.

orun se pochne ka hum haq nahi rakhtay
mere sawalaat mere jawabaat sirf tum se hain.

tum ko maloom hi nahi meri tanhai ka dukh.
meri sochen mere Khayalaat sirf tum se hain.

tum sath ho to muqadar p hukoomat apni
mere her rishte Ki soghaat sirf tum se hain.

agar kabhi bikhar jaon to samait lena mujh ko
hai mukamal jo meri zaat sirf tum se hain...

Chalo tum raaz ho apna Tumhain afsha nahi kartey

Chalo tum raaz ho apna Tumhain afsha nahi kartey
Suno jisko chaha jaye Usey chhora nahi kartey

Jisey shaffaf rakhna ho Usey maila nahi kartey
Jo bus jata hai dharkan main Usey bhoola nahi kartey

Kisi ko dil detey waqt Bohat socha nahi kartey
Jo pehley se hi tanha ho Usey tanha nahi kartey

Suno Yaadein satati hain Magar Roya nahi kartey.
Suno Tum YAAD aate ho Aur HUM SOYA NAHI KARTAY.

Dil Pe Laga Kay Zakham Murawat Na Kijiye,

Dil Pe Laga Kay Zakham Murawat Na Kijiye,
Izhar-e-Altafaat Ki Zehmat Na Kijiye,

Kiya Jee Saken Gay Aap Kay Deedar Kay Baghir
Wada Wafa Ka Kr K Bghawt Na Kijiye,

Mil Jayein Qurbatein Humein
Mitt Jayein Faslay,
Dil Say Duaein Kijiye,
Hasrt Na Kijiye,

Mjbori-e-Firaq Ka Shikwa Nhi Baja,
Khud Pe Na Ho Yaqen Tou Mohabbat Na Kijiye.

Hum Ko Tou Apny Zoq-e-Nazar Pe He Aitmaad,
Apna Khayl Rkhiye Naseht Na Kijiye.

Palkon Pe Aansoun Ko Sajaya Na Ja Saka,

Palkon Pe Aansoun Ko Sajaya Na Ja Saka,
Us Ko Bhi Dil Ka Haal Bataya Na Ja Saka.

Zakhmo Se Choor Choor Tha Yeh Dil Mera,
Ek Zakham Bhi Us Ko Dikhaya Na Ja Saka.

Jab Teri Yaad Aai Tu Koshish K Ba Wajood,
Aankhon Me Aansoun Ko Chupaya Na Ja Saka.

Kuch Log Zindagi Me Aise Bhi Aaye Hain.
Jin Ko Kisi Bhi Lamhe Bhulaya Na Jaa Saka.

Bas Is Khayaal Se Kahi Us Ko Dukh Na Ho,
Hum Se Tu HAAL-E-GHAM Bhi Sunaya Na Ja Saka.

Wo Muskuraa Raha Tha Mere Ru-Ba-Ru Magar,
Chehre Ka Rang Us Se Chupaya Na Ja Saka.

Tanhaiyon Ki Aag Me Hum Jal Gaye,
Magar Faasla Anaa Ka Mitaya Na Ja Saka.

Ek Naya Morr Dete Huwe Phir Fasaana Badal Dijiye

Ek Naya Morr Dete Huwe Phir Fasaana Badal Dijiye
Ya To Khud Hi Badal Jaaiye Ya Zamaana Badal Dijiye

Tar Nivaale Khushaamad Ke Jo Khaa Rahe Hain Wo Mat Khaaiye
Aap Shaheen Ban Jaayen Ge Aab-O-Daana Badal Dijiye

Ahl-E-Himmat Ne Har Daur Mein Koh Kaate Hain Taqdeer K
Har Taraf Raaste Band Hain, Ye Bahaana Badal Dijiye

Tai Kiya Hai Jo Taqdeer Ne Har Jagah Saamne Aaye Ga
Kitni Hi Hijraten Keejiye Ya Thikaana Badal Dijiye
Ham Ko Paala Tha Jis Pairr Ne Us K Patte Hi Dushman Huwe
Kah Rahi Hain Daaliyaan, Aashiyaana Badal Dijiye

Wednesday, 23 April 2014

Main ne kaha Mere liye bhi Dua kia kro,

Main ne kaha Mere liye bhi Dua kia kro,
Us ne kaha is ki Fikar na kiya kro,

Main ne kaha Mere Zehan pe Rehta hai Bojh sa,
Us ne kaha Chupke se thora Ro liya kro,

Main ne kaha Ratoon ko Neend nahi aati,
Us ne kaha Soney ki Koshish to kya kro,

Main ne kaha Dil me teri Yadain hain,
Us ne kaha Dil ko Samjha Liya kro,

Main ne kaha Tere Milne ki koi Umeed hai,
Us ne kaha Qismat pe itna Bharosa na kiya karo...

Har sans k sath mujhe socha karo gy TUM,

Har sans k sath mujhe socha karo gy TUM,
Apne hi aks main mujhe dhonda karo gy TUM,

Jab yaad aaye gi TUM ko WAFA meri,
Phir har shakhs ko chahat se dekha karo gy TUM,

Aaj meri tanhayi par hans rahy ho jo,
Mujh se bichar k issi baat par roya karo gy TUM,

Phir kese mere khayal se daman churao gy,
Jab meri tarha kisi ko chaha karo gy TUM,

Mere hote howe mera naam bholny waly,
Mere baad mere naam se sab ko pukara karo gy TUm.

Badnaam zamane mein mohabat nahi karte...

Badnaam zamane mein mohabat nahi karte...
Dil wale to dushman se bi nafrat nahi karte...

Ek baar jise chaha sada us k rahe phir...
Hum log amanat mein khayanat nahi karte...

Tanhai mein kar lete hai yad "AANSU" baha kar...
Zahir kabhi hum apni ebadat nahi karte...

Waqt aane par maloom ye ho jaega aapko...
Hum sirf dikhawe ki mohabat nahi karte...

Likhte hain "FAQAT" ek tumhare liye "GHAZAL"
Har shakhs pe hum aise enayat nahi krty..

Sunday, 20 April 2014

Hum Se Juda Honay Ka Tasawar Bhi Na Karna,

Hum Se Juda Honay Ka Tasawar Bhi Na Karna,

Hum Aisy Sitam Gar Hain Ke Manaya Nahin Karte,

Jis Dar Py Bhi Gaye Hain Bus Ek Baar Gaye Hain,

Phir Loatt Ke Us Dar Py Jaya Nahin Karte,

Aankhon Sy Pilao Ge To Aa Jayen Ge Peenay,

Paimano Sy To Peenay Hum Jaya Nahin Karty,

Apna To Ye Shywa Hai,
SAQI Ghoar Sy Sun Lo,

Khud Hi Tarap Lete Hain
Tarrpaya Nahin Karte ..

Friday, 18 April 2014

Mery Jaan-o-Dil Mery Hum Safar,

Mery Jaan-o-Dil Mery Hum Safar,
Me Udaas Hon Koi Baat Kar,

Tery Lab Hilen To Katy Safar,
Me Udaas Hon Koi Baat Kar,

Koi Bojh Hy To Utaar Dy,
Koi Khof Hy To Nikaal Dy,

Mera Haath Hy Tery Hath Par,
Me Udaas Hon Koi Baat Kar,

Nahi Yaad Kitny Baras Gy,
Teri Guftagu Ko Taras Gy,

Meri Khirkiyaan Mery Diwar-o- Dar
Me Udaas Hon Koi Baat Kar,

Tujhy Chup Hy Kesi Lagi Hui,
Abhi Umar To Hy Pari Hui,

Abhi Muskura Abhi Gam Na kar,
Me udas hon koi baat kar.

Thursday, 17 April 2014

Kaha Nazron Se Nazron Ne Hamen Tum Se Mohbbat Hai

Kaha Nazron Se Nazron Ne Hamen Tum Se Mohbbat Hai
Labon Se Hum Kahen Kaise Hamen Tum Se Mohabbat Hai?

Zameen k Phool Saare Aasman k Dil Mein Khil Utthe
Zameen Ne Jab Kaha Hans K Hamen Tum Se Mohabbat Hai

Kabhi Aisa Bhi Hota Aap k Pehloo Mein Hum Hote
Sada Uthti khamoshi Se Hamen Tum Se Mohabbat Hai

Ye Q Ghere Hain Furqat k Andhere Chaar Su, Jab k
Mohabbat hai Tumhen Hum Se, Hamen Tum Se Mohabbat hai

Suno Janan Zamane ki Riwayat Bhool kar is Pal
Karen Iqraar Hum Khul k Hamen Tum Se Mohabbat hai

Shab, Falak Par Chaand, Taarey Aur Ye Jugnoo
Sabhi Hain Baa-Khabar Is Se Hamen Tum Se Mohabbat Hai

Badan Me Utrein Thakan K Saye Tu Neend Aaye,

Badan Me Utrein Thakan K Saye Tu Neend Aaye,
Ye Dil Kahani Koi Sunaye Tu Neend Aaye.

Bujhi Bujhi Raat Ki Hatheli Pe Muskura Kar,
Charagh-E-Wada Koi Jalaye Tu Neend Aaye.

Hawa Ki Khawahish Pe Kon Aankhein Ujarrata Hai.
Diye Ki Low Khud Se Thar Tharaye Tu Neend Aaye.

Tamam Shab Jagti Khamoshi Ne Us Ko Socha,
Wo Zer-E-Lab Geet Gungunaye Tu Neend Aaye.

Bas Aik Aansoo Bahot Hai MOHSIN K Jagne Ko.
Ye Ik Sitara Koi Bujhaye Tu Neend Aye.

Har Roz Imtehaan Se Guzara To Mein Gaya

Har Roz Imtehaan Se Guzara To Mein Gaya
Tera To Kuch Gaya Nahi Mara To Mein Gaya

Jab Tak Mein Teray Pass Tha Bus Teray Pass Tha

Tu Ne Mujhe Zameen Pay Utara To Mein Gaya

Shal Ungliyon Se Thaam Rakha Hai Chataan Ko

Chhoota Jo Hath Se Yeh Kinara To Mein Gaya

Apni Anaa Ki Aahani Zanjeer Torr Kar

Dushman Ne Bhi Madad Ko Pukara To Mein Gaya

Yeh Taaq Yeh Charaagh Meray Kaam K Nahi

Aaya Nazar Nahi Woh Dobara To Mein Gaya

Teri Shikast Asal Mein Meri Shikast Hai

Tu Mujh Se Aik Baar Bhi Hara To Mein Gaya

Wednesday, 16 April 2014

Bari tarap hai meri iltaja k pardey mein,

Bari tarap hai meri iltaja k pardey mein,
Main tum ko maang raha hon dua k pardey mein,

Usey b darr hai k ye raaz khul na jaye kahin,
Likhta hai naam mera wo hina k pardey mein

Main Uss k koochey se guzra to ye mehsoos hua,
Mujhe pukara hai Uss ne hawa k pardey mein,

Ajeeb Tarz-e-maseehaai Us ne dikhlaai
Hayaat meri badal di dua k pardey mein

Is tarha chehra Chhupaya ha zulf mein Us ne
K jaise chaand chhupa ho ghataa k pardey mein.

Sunday, 13 April 2014

Dil ki Chokhhat pay Jo Ik Deep Jala Rakhha hay

Dil ki Chokhhat pay Jo Ik Deep Jala Rakhha hay
Teray Laut Aanay ka Imkaan Saja Rakhha hay

Rooth Jaatay ho to kuch Aur Haseen Lugtay Ho
Hum nay Ye Soach k He Tum ko khafa Rakhha hay

Tum Mujhay Chhorr gaay thay Ik Shaam ko Jub
Hum nay Uss Shaam ko Seenay say Laga Rakhha hay

Chaen Lainay Nahin Dayta Ye kisi Pal Mujh ko
Teri Yaadon nay Jo Toofan Utha Rakhha hay

Janay Walay nay kaha tha k Wo Lautay Ga Zroor
Ik Isi Aas pay Derwaza Khula Rakhha hay...

Umer khushion main baser ho ye zarori to nahi

Umer khushion main baser ho ye zarori to nahi
Phir shab-e-ghum ki sahar ho ye zarori to nAhi

Neend to dard k bister pe bi asakti hai
Unki aaghosh me sir ho ye zarori to nAhi

Mohabat ko logo ne khel samjh rakha hai
Is k matlab se hon sab ashna ye zarori to nAhi

Her dua me mangte hain hum to bus Tumhe
Hamari her dua main aser ho ye zarori to nahi

Hamari zindagi main bus tumhari he kumi hai
Tumhe bhi hamari zrorat ho ye zarori to nahe...

Jab Raat Bahot Ho Jati Hay, Aur Dil Ki Tanhai Barti Hay

Jab Raat Bahot Ho Jati Hay, Aur Dil Ki Tanhai Barti Hay

Ek Shakhs Bahot Yaad Aata Hay, Hum Yaadon Mein Kho Jatay Hain.

Jab Tanha Baith K Khuwabon Ki, Ek Duniya Dil Mein Basti Hay,

Kuch Sapnay Sach Ho Jatay Hain, Kuch Sapnay Toot Bhi Jatay Hain.

Jab Yaadein Hadd Say Barti Hain, Ek Ajab Tamasha Hota Hay.

Kabhi Hanstay Hain Kabhi Rotay Hain, Aur Pagal Say Ho Jatay Hain.

Jab Dil Ki Dharkan Poochti Hay, Kiyon Raat Gaey Tum Jagtay Ho,

Hum Ro Kar Chup Ho Jatay Hain, Aur Janay Kab So Jatay Hain...!

Guzry waqt ko bhula dena asaan nahi hota"

Guzry waqt ko bhula dena asaan nahi hota"
Ghamon ko hansi mein chupa lena asaan nahi hota"

Zururi nahi k poori ho har khwahish lekin"
Apni khuwahish ko daba lena asaan nahi hota"

Maana k tooty howay phooloon se khushboo nahi aati"
Magar unhen kitabon mein sajaa lena asaan nahi hota"

Koi aur bhi us k baad aa sakta hai magar DosT,
Har kisi ko dil mein jaga dena asaan nahi hota...

Tuesday, 8 April 2014

Meri Aankhon Main Utar Aao, Inhe Samundar Kr Do

Meri Aankhon Main Utar Aao, Inhe Samundar Kr Do

Kuch Dair Hi Sahi Muhabat Ki Nzr Kr Do

Tot K Milo K Armaan Na Reh Jay Koi

Yun Muhabat K Her Lamhe Ko Amar Kr Do

Hum Pe Na Aay Koi Qayamat Sa Waqt

Bari Mushkil Hai Judai Isay Mukhtasir Kr Do

Jin K Nor Se Mil Jay Benai Humain Bhi

Apne Khawabon Ko Meri Aankhon Ki Nzr Kr Do

Dunia Ki Talab Nhi Mgr Ye Hasrat Hai Humari
Apni Bahon Main Lo, Dunia Se Bekhbr Kr Do.

Uss ny din rat mujy itna staya keh,

Uss ny din rat mujy itna staya keh,
Nafrat b na hui or mohbt b ho gai.

Uss ny iss nazakat sy mery honton ko chuma keh,
Rozaa b na toota or aftari b ho gai.

Uss ny itny ehtram se muj sy mohbt ki keh, Gunah b na hua or ebadat b ho gai.

Matt pochho uss k pyar krny ka andaz kesa tha uss ny iss shid'dat sy seenay sy lagaya keh,,,
Mout b na hui or jan'nat b mil gai.

Thursday, 3 April 2014

Answon Ki Tarah Nzron Se Giraya Us Ne...

Answon Ki Tarah Nzron Se Giraya Us Ne...
Apni Khabr Na Mili Kuch Eisa Khak Mein Milaya Us Ne.....

Ilzaam Muj Pe Lgaya Mgr Bewfa Khud Tha..
Pehle Diwana Bnaya Phr Muje Thukraya Us Ne..

Usy Mza Ata Hai Mujko Stane Mein..
Muje Geeli Lkrhi Ki Tarah Jlaya Us Ne..

Aya Na Tha Usko Wa'ada Wfa Krna..
Logon Ko Jhoota Apni Wfa Ka Qissa Sunaya Us Ne..

Tanhaiyon K Drd Se Khoob Waqif Tha Wo
Phr B Muje Duniya Mein jotha benaya us ne.

SHam k SUrmai AnDHeron MEin,

SHam k SUrmai AnDHeron MEin,

YOun TEri Yaad SatH ChaLti Hy,
JEisy ParBat k Sabz PErron Pr,

Barf k Baad DHoop ParTi Hy,
JEisy SEhra ki Rait Ur Ur Kr,

Ksi AJnaBi Ka Tawaf Karti Hy,
Ahh BHarta HOn Ashak Peeta HOn,

Roz Marta HOn,
PHir BHi Jeeta Hoon,
KitNi MaSom ArZuon Ko Kis TaraH LOg Tor Jatey HEin,

JEisy Dum TOrty MuSafir Ko
QafLy Waaly CHor JaTy HEin,

SHam k SUrmai AnDHeron MEin,
YUn TEri Yaad SaTh ChaLti Hy.

Tuesday, 1 April 2014

Tera hijr mera naseeb hai,

Tera hijr mera naseeb hai,
Tera Gham hi meri hayaat hai,
Mujhe teri doori ka Gham ho kyuN,
Tu kahiN bhi ho mere saath hai,

Mere vaaste tere Naam par koi harf aaye! Nahi, Nahi!!
M tjhe khouf E duniya nahi magar mere roo-baroo teri zaat hai,

Tera vasl aye meri Dilruba,
Nahi meri Qismat to kya hwa,
Meri mahjabeeN yehi kaam hai kya,
Teri HasratoN ka to Saath hai,

Tera ishq mujh pe hai MehrbaaN,
Mere dil ko haasil hai Do JahaN,
Meri JääN-E-JaaN isi par,
Meri JääN Jaaye to Baat hai,,!!!

Mujhe Bhulaane Ka Jis Waqt Faisla Karna

Mujhe Bhulaane Ka Jis Waqt Faisla Karna
Phir Apni Aankhon Se Khuwaabon Ko Bhi Riha Karna

Bus Aik Tum Ho Jissey Dil Ki Baat Kehte Hain

Humaari Baaton Ka Sub Se Na Tazkira Karna

Chune Hain Hum Ne Kuchh Ajnabi Raaste
Jo Ho Sake To Humaare Liye Dua Karna

Gar Judaai Ka Poochay Koi Sabab Tum Se

To Hum Pe Nit Naye Ilzaam Dhar Liya Karna

Hum Aise Qabeele Main Reh Rahe Hain

Jahaan K Logon Ne Seekha Hai Sirf Wafa Karna