Ab agar aao to jane k liye mat aana,
Sirf ehsan jatane k liye mat aana..
Main ne palkon pe tamannaen saja rakhi hain,
Dil mein umeed ki so shamein jala rakhi hain.
Yeh haseen shamein bujhane k liye mat aana,
Ab agar aao to jane k liye mat aana...
Pyar ki aag mein zanjeerein pighal sakti hain,
Chahane walon ki taqderein badal sakti hain.
Tum ho bebas ye batane k liye mat aana,
Ab agar aao to jane k liye mat aana.!
No comments:
Post a Comment