Aawargi mei mohsin is ko b hunar jana,
Iqrar-e-wafa kerna, phir us se mukar jana
Jab khwab nahi koi, kya zindagi ka karna
Har subh ko jee uthna har raat ko mar jana
Shab bhar k thikane ko ik chatt k siwa kya hy,
Kya waqt pe ghar jana, kya dair se ghar jana
Aisa na ho darya mei tum baar-e-garaan thehro,
Jab log ziada hon kashti se utar jana
Suqraat k peene se kya mujh pe ayaan hota,
Khud zehr piya mei ne tab us ka asar jana
Jab bhi nazar aao gy hum tum ko pukaren ge,
Chaho to thehar jana chaho to guzar jana..!!
No comments:
Post a Comment