ManSo0b They Jo L0g Meri ZinDagi K Sath,
AkSer Wohi Mile Hain Bari Be-Rukhi K Sath,,
Y0on To Main Hans Para H0n Tumhare Liye MaGr,
Kitne Sitare T0ot Parey Ek HaNsi K Sath,,
MaJBori0on Ki Baat Chali Hai To Main Kahan,
Hum Ne Peeya Hai Zehar B AkSer KhuShi K Sath,,
MOHSIN Karam B Ho Aur Jis Mein Khulus B,
MuJh Ko GhazaB Ka Pyaar Hai Us DuShmani K Sath...
Friday, 30 May 2014
Thursday, 29 May 2014
Baharon ki masti ka asar acha nahi Hota
Baharon ki masti ka asar acha nahi Hota
Shajar sukha hua Ho to Samar acha nahi Hota
Jo mumkin Ho to rasty sy koi jugno pakar lena,
Andheri raat ka tanha safar acha nahi Hota
Milo kuch is tarah k Dil aapis main mil jayen
Taaruf doston se mukhtisar acha nahi Hota
Wahin betho jahan saya mile apne darakhton ka
Kisi k ghar k angan ka shajar acha nahi Hota
Chalo acha hua dehleez se wapis palat aye
Jahan apny na basty Hun wo ghar acha nahi hota.

Tuesday, 27 May 2014
Gulaab Aankhen sharab Aankhen
Gulaab Aankhen sharab Aankhen
Yehi to hain la-jawab Aankhen
Inhi main ulfat inhi main Nafrat
Sawab Ankhen, Azaab Aankhen
Kabhi nazar main bala ki Shokhi
Kabhi sarapa hijab Aankhen
Kabhi chupati hain raaz Dik K
Kabhi hain Dil ki kitab Aankhen
Kisi ne dekhi to jheel jesi
Kisi ne payeen sAraab Aankhen
Wo aye to log mujhse bolen
Huzoor Aankhen,
Janab Aankhen
Ajeeb tha guftagu ka Aalam
Sawal koi,
Jawab Aankhen
Ye mast be misaal Aankhen
Musawari ka kamal Aankhen
Sharab rab ne Haraam kar di
Magar q rakhi halal Aankhen
Hazaaro in p Qatal hongy
Khuda ki bandi sambhal Aankhen,,,
Yehi to hain la-jawab Aankhen
Inhi main ulfat inhi main Nafrat
Sawab Ankhen, Azaab Aankhen
Kabhi nazar main bala ki Shokhi
Kabhi sarapa hijab Aankhen
Kabhi chupati hain raaz Dik K
Kabhi hain Dil ki kitab Aankhen
Kisi ne dekhi to jheel jesi
Kisi ne payeen sAraab Aankhen
Wo aye to log mujhse bolen
Huzoor Aankhen,
Janab Aankhen
Ajeeb tha guftagu ka Aalam
Sawal koi,
Jawab Aankhen
Ye mast be misaal Aankhen
Musawari ka kamal Aankhen
Sharab rab ne Haraam kar di
Magar q rakhi halal Aankhen
Hazaaro in p Qatal hongy
Khuda ki bandi sambhal Aankhen,,,
Saturday, 24 May 2014
Wo Pichli Barishon Men Hum
Wo Pichli Barishon Men Hum
Barry Nadaan Hote They,
Sabhi Ki Aankh Se Bach Kr,
Puraani Kaapiyon Se Hum,
Waraq Kuch Noch Lete They,
Hum ik Kashti Bnaaty They,
Wo Paani Pr Chalaatey They,
Hmain Lagta Tha Jesy Hum,
Usi Kashti Men Bethy Hain,
Wo Kashti Doob Jati Thi,
To Hum B Doob Jatey They,
Wo Kashti Paar Lagti Thi,
To Hum B Paar Lagty They,
Chalo Guzrey Huye Kal K,
Wo Pal phr Dhond Laatey Hain,
Puraani Kaapiyan Le Kr,
Naee Kashti Banaty Hain,
Wo Paani Pr Chalaatey Hain,
Chalo Phir Paar Lagtey Hain,
Chalo Phir Doob Jate Hain....
Barry Nadaan Hote They,
Sabhi Ki Aankh Se Bach Kr,
Puraani Kaapiyon Se Hum,
Waraq Kuch Noch Lete They,
Hum ik Kashti Bnaaty They,
Wo Paani Pr Chalaatey They,
Hmain Lagta Tha Jesy Hum,
Usi Kashti Men Bethy Hain,
Wo Kashti Doob Jati Thi,
To Hum B Doob Jatey They,
Wo Kashti Paar Lagti Thi,
To Hum B Paar Lagty They,
Chalo Guzrey Huye Kal K,
Wo Pal phr Dhond Laatey Hain,
Puraani Kaapiyan Le Kr,
Naee Kashti Banaty Hain,
Wo Paani Pr Chalaatey Hain,
Chalo Phir Paar Lagtey Hain,
Chalo Phir Doob Jate Hain....
Mosam-e-karb-e-intizar bhi jhoot
Mosam-e-karb-e-intizar bhi jhoot
Dil na mane to wasl-e-yar bhi jhoot
Ay mot Teri Talab bhi Larzish-e-lab
Ae zindagi, Tera Aitbaar bhi jhoot
Wus'at-e-dastan-e-shoq galat
Koshish-e-harf-e-ikhtisar bhi jhoot
Sirf us ka jhoot sach
"Mohsin"
Mera khuloos bhi jhoot, mera aitbar b jhoot...

Wo reh na paye ik pal bhi mere bina,
Wo reh na paye ik pal bhi mere bina,
Aye Khuda tu usko meri aadat si ker dey...
Itna toot k chahoon main usko,,,
K Meri chahat ko uski ibadat si ker dey...
Koi choo na paeye apney khiyalat main b us ko,,,
Her ik k zehan main us ki hifazat si ker dey...
Band ankhon main b dekh paoon us ko,,,
Meri nazar ko aesi ijaazat si ker dey...
Rakhoon ga khiayal us ka umer bhar k liye,,,
Bas ab wo apney ap ko meri amanat ker dy...!!

Har Shakhs Se Ulfat Ka Iqrar Nahi Hota,
Har Shakhs Se Ulfat Ka Iqrar Nahi Hota,
Dil Ko bi hazaron se Pyar Nahi Hota,
Jo Rooh Ko Choo Jae Jo Dil Mein Utar Jaye,
Uss Ishq Ka Lafzon Mein Izhaar Nahi Hota,
Jab Pyar Juda Ho To Yeh Husn B Veeran Hai,
Mehboob Bina Koi Sing'haar Nahi Hota,
Jo Ishq Mein Mar Jaye Samjho Woh Nageena Hai,
Ban Jaye Woh Patthar B Bekar Nahi Hota,
Kya Samjhoge Tum meri Be naam Mohabbat Ko,
Yeh Ishq Ka Sauda Hai
Sar-e-Bazar Nahi Hota...

Maqrooz k Bigray hue halaat ki Manind
Maqrooz k Bigray hue halaat ki Manind
Majboor k Honton Pe Sawalat ki Manind,
Dil ka Teri Chahat Mein Ajab Haal hua hai,
Selaab Mein Barbad Makanat ki manind,
Main un Me Bhatakte hue Jugnu ki Tarha hun
Us Shakhs ki Aankhain hain Kisi Raat ki Manind
Dil Roz Sajata hun Main Dulhan ki Tarha Se
Gham Roz Chalay Aatay hain Baraat ki Manind
Ab Ye Bhi Nhi Yaad k Kya Naam tha us Ka
Jis Shakhs ko Maanga tha Manajat ki Manind
Kis Darja Muqadas hai Tere Qurb ki Khawhish
Masom Se Bachay k Khayalaat ki Manind
Us Se Mera Milna To Ab Mumkin hi Nahi hai
Mohsin
Men Pyas ka Sehra hun, Wo Barsat ki Manind.

Tuesday, 20 May 2014
Mujhe khamosh rehne do,
Mujhe khamosh rehne do,
Suna hai ishq sacha ho,
To khamoshi
lahu ban kar,
Ragon mein
naach uthti hai,
Abhi kuch din mujhe
meri mohabbat azmaney do,
Usey mein kyun bataon,
Usey mene kitna chaha hai,
Bataya to jhoot jata hai,
Ke
Sachi baat ki khushbuu,
To khud mehsoos hoti hai,
Meri baatein,
Meri sochein,
Usey khud jaan lene do,
Abhi kuch din mujhe
meri mohabbat azmaney do..
Suna hai ishq sacha ho,
To khamoshi
lahu ban kar,
Ragon mein
naach uthti hai,
Abhi kuch din mujhe
meri mohabbat azmaney do,
Usey mein kyun bataon,
Usey mene kitna chaha hai,
Bataya to jhoot jata hai,
Ke
Sachi baat ki khushbuu,
To khud mehsoos hoti hai,
Meri baatein,
Meri sochein,
Usey khud jaan lene do,
Abhi kuch din mujhe
meri mohabbat azmaney do..
Uss ki Yaad Aati Hay To Hum Aansu Bahatay Hen.
Uss ki Yaad Aati Hay To Hum Aansu Bahatay Hen.
.
Guzaray Thay kbhi Jo Sath Din Wo Yaad Aaty Hen.
.
Issi Umeed Py Hum Ny khula Rakha Hay Darwaza.
.
Suna Hay Shaam Hotay He Bichray Lot Aatay Hen.
.
Haqarat Say Na Dekho Ay Ehl-e-Saahil Toofan ko.
.
Kabhi Easa Bhi Hota Hay kinary Doob Jatay Hen.
.
Kisi Say kea Gila Ye Dastoor Hay Zamanay ka.
.
Naye Jab yar Miltay Hen Puranay Bhool Jatay Hain.

Monday, 19 May 2014
Tanha hun aur yad teri aai Hai,
Tanha hun aur yad teri aai Hai,
.
Kiya khoob Saza dekh Mohabat mein pai hai,
.
Tum se bichar k jaoun to kahan jaoun,
.
Zanjeer chahat ki tu ne mere paon mein pehnai hai,
.
Meri sochon pe pehry hein teri yadon k,
.
Mere chehry par tere piyar ki Ranaai hai,
.
Mar jaoun Agar tum ko bhula dun ik pal,
.
Main ne chahat ko nibhany ki Qasam khai hai,
.
Ly ly jan ay Khuda nahi jena us bin,
Bin us k jena meri chahat ki ruswai hai...

Chand Suraj, aur Sitaray AJnabi..,
Chand Suraj, aur Sitaray AJnabi..,
Ik Musafir, sb Nazaray AJnabi..,
Mojza hai "Gardish-e-Halaat" ka..,
Shehar Apna, Log saray AJnabi..,
AJnabiyat ka Talluq Khoob hai..,
Hum Tumharay, Tum Hamaray AJnabi..,
Jaan k Dushman Hamaray Aashna..,
Aashna, saray k saray AJnabi..,
Zindagi ki Talkhiyan hain, Hum Nasheen..,
Phool Khushbu Rang saray AJnabi..,
Woh Jisay Ham ne, Apni Pehchaan di,
AaJ Woh, Hum ko Pukaray AJnabi

Boht Din Ho Gay Wasi Sahara Kar Lia UsNy
Boht Din Ho Gay Wasi Sahara Kar Lia UsNy
Hamary Bad B Aakhir Guzara Kar Lia UsNy
Hamara Zikar To Us K Labon Par aa Nahi Sakta
Hamen Ehsas Hy Hm Sy Kinara Kar Lia UsNy
Wo Basti Ghair Ki Basti Wo Koocha Ghair Ka Koocha
Suna Hy Ishq B Ab To Dobara Kar Lia UsNy
Suna Hy Ghair Ki Bahon Ko Wo Apna ghar Samajhta Hy
Lagta Hy Mera Ye Dukh Gawara Kar Lia UsNy
Bhula Kar Pyar Ki Qasmen Wo Wady Torr Kar sary
Kisi Ko Apni Zindgi Sy Pyara Kar Lia UsNy.

Friday, 16 May 2014
Ghafil teri yaadon se howa main to nahi tha...
Ghafil teri yaadon se howa main to nahi tha...
Tu tha hi Juda, tujh se Juda main to nahi tha!
Ja tu meri guftar k Qabil hi nahi hai,
Ye lafz kabhi keh k gya main to nahi tha!
Besakhta ghabra k pukara tha kisi ko,
Socho tere honton ki sada main to nahi tha!
Koi to mere Jurm ki tafseel bata dy,
Aay 'faiz' tere haq mein bura main to nahi tha...!!

Na Shab - O - Rooz Achay. Na Haal Acha Hai
Na Shab - O - Rooz Achay. Na Haal Acha Hai
" Kisi Jogi Nay Kaha Tha K Yeh Saal Acha Hai.
" Mein Nay Poocha K Wafa Muqaddar Mein Hai?
" Muskuratay Huway Bola K Sawal Acha Hai.
" Woh Mera Haath Dekhtay Huway Bola.
" Tum Par Mukaddar Ka Yeh Zawal Acha Hai.
" Mein Nay Poocha Meri Qismat Mein Kiya Uss Ka Pyaar Likha Hai?
Maathay Pay Shikan
Daalay Mujh Say Kehnay Laga Array..!!
" Tu Tanha Acha Hai..

Thursday, 15 May 2014
Usko fursat hi nhi waqt nikaly Mohsin
Usko fursat hi nhi waqt nikaly Mohsin
Aisy hoty hain bhala chahny waly Mohsin
Yaad k dasht mai phirta hon main nangy paaon
Dekh tu aa k kabhi paaon k chhaaly Mohsin
Kho gai subhu ki umeed or ab lagta hai
Hm nhi hon gy k jb hon gy ujaaly Mohsin
Hakim-e-waqt kahan main kahan, adl kahan
keyun na khalqat ki zuban pr lagaen taaly Mohsin
Wo jo ek shakhs mtaa-e-dil-o-jaan tha, na rha
Ab bhala koun mery dard sambhaly Mohsin?..

Kar Na Dena Youn Gham k Hawale Mujh ko,
Kar Na Dena Youn Gham k Hawale Mujh ko,
Main Tabassum Hoon Tu Honton Pe Saja Le Mujh ko,
Tu Mila Hy To Yehi khouf Laga Rehta Hy,
Tera Milna kisi Uljhan Mein Na Dale Mujh ko
Is Yaqeen Par Hi Andheron Mein Safar jari Hy,
Mil Hi jaen Gey kisi Roz Ujale Mujh ko,
Teri Dosti Ne To Majboor kiya jeeney Per,
Ab Tera Piyar kahin Maar Na Daale Mujh ko,
Be-Niyazi ka ye Andaza Nahi kuch,
Baat To Tab Hy k Wo Dil Se Nikale Mujh .

Meray Ehsaas ko Wehshi Bana Kar khush ho Ab To
Meray Ehsaas ko Wehshi Bana Kar khush ho Ab To
Mujhe In Aandhiyon ki Zad Pe Laa Kar khush ho Ab To
Mein Jin Yaadon k Chehray Bhool Jaana Chaahta Tha
Unhein Daanista Phir mujh ko dikha kar khush ho Ab To
Kisi Soorat Mein Ye Sholley Bujhaane Mein Laga tha
Hawaaon ko Pata Mera Bata kar khush ho Ab To
Mein Gird-o-Pesh k Maahol Se Ab Katt chuka Hoon
Jazeeray Par Mujhe Tanhaa Bassa kar khush ho Ab To
Meray Humraah Chalney Mein Tumhein Dushwaariyaan Thein
Meray Hi Saaye ko Paikar Bana kar khush ho Ab To
Pohnchna Chaahtey Thay Tum to apni Intehaa Tak
Mujhe Ye Khoon k Aansoo Rula kar khush ho Ab To

Meri her saans me khushbuon ki tarah!
Meri her saans me khushbuon ki tarah!
Pyar apna basane ka wada karo!
Rang jitne tumhari mohabat k hain!
Mere dil me sajane ka wada karo!
Hai tumhari wafaon pe mujh ko yaqeen!
Phir b dil chahta hai mere dil nasheen!
Youn he meri tasalli ki khatir zara!
Mujh ko apna banane ka wada karo
Sirf lafzon se iqrar hota nahi!
Ek janib se he pyar hota nahi!
Me tumhain yaad rakhne ki khaoon Qasam!
Tum mujhe na bhulane ka wada karo,
Pyar apna basane ka wada karo!
Rang jitne tumhari mohabat k hain!
Mere dil me sajane ka wada karo!
Hai tumhari wafaon pe mujh ko yaqeen!
Phir b dil chahta hai mere dil nasheen!
Youn he meri tasalli ki khatir zara!
Mujh ko apna banane ka wada karo
Sirf lafzon se iqrar hota nahi!
Ek janib se he pyar hota nahi!
Me tumhain yaad rakhne ki khaoon Qasam!
Tum mujhe na bhulane ka wada karo,
Mere shehar main ik raat basar kar k dekhna,
Mere shehar mn ik raat basar kar k dekhna,
Mere ird gird k logo se mil k dekhna,
Tere baghair hum kis tarah jee rahe hyn,
Zara in logo se pooch k dekhna,
Jo janna chaho k hum kitne udas hyn,
To sard raton k tanha chand ko dekhna,
Hum sa na koi tum ko mile ga,
Ek bar sari duniya ghoom kar dekhna,
Tum ko hmari hi sada aye gi,
Apne seenay pe hath rakh k dekhna,
Kuch or hota to wo b tumhyn de dete,
Ek jan hy"faqt" kisi roz mang kar dekhna.

Aye moj-e-hawa,Ab tu hi bata,
Aye moj-e-hawa,Ab tu hi bata,
Wo yar hamara kaisa hai?
Jo bhool gaya hum ko kab se,
Wo jaan se pyara kaisa hai ?
Kia us ko jeewan lamho mein,
Koi lamha mera baqi hai ?
Kia uski jaagti aankhon main,
Meri yaad se phaili udasi hai ?
Kia wo bhi meri tarah yun hi,
Shab bhar jaga kerta hai ?
Kia wo bhi saya-e-rehmat main,
Hamain RAB se manga karta hai ?
Agar aisa nahi to tu hi bata,
Hum yaad use Kion kertay hain ?
Wo humse bicher ker khush hai agar,
To hum pal pal kion marte hain...!!?
Wo yar hamara kaisa hai?
Jo bhool gaya hum ko kab se,
Wo jaan se pyara kaisa hai ?
Kia us ko jeewan lamho mein,
Koi lamha mera baqi hai ?
Kia uski jaagti aankhon main,
Meri yaad se phaili udasi hai ?
Kia wo bhi meri tarah yun hi,
Shab bhar jaga kerta hai ?
Kia wo bhi saya-e-rehmat main,
Hamain RAB se manga karta hai ?
Agar aisa nahi to tu hi bata,
Hum yaad use Kion kertay hain ?
Wo humse bicher ker khush hai agar,
To hum pal pal kion marte hain...!!?
Monday, 12 May 2014
Wo Pani Ki Leharon Pe Kia Likh Raha Tha,
Wo Pani Ki Leharon Pe Kia Likh Raha Tha,
Khuda Jane Hurf-E-Dua Likh Raha Tha.
Likhay Thay Jis Ne Wafa K Maine Adhure,
Wo Shaks Pyar Ki inteha Likh Raha Tha.
is Kadar Zamane Walon Ne Sataya Us Ko,
Wo Har Ek Shaks Ko Bewafa Likh Raha Tha.
Us Ki Aankhon Se Ek Anso Bhi Na Nikla,
Jis Waqt Wo Lafz-E-Saza Likh Raha Tha.
Mohabbat Mein Nafrat Mili Thi Usse,
Wo Shaks Pyar K Jazbe Ko Gunah Likh Raha Tha.....!!

Chahton K Silsly Or Bekhudi Zara Zara
Chahton K Silsly Or Bekhudi Zara Zara
Wo Mukhtasir Si Khawishen Or Ashqi Zara Zara
Ye Dooriyan Nazdikian Sab Kehny Sunnay Ki Bat Hy
Hen Lafzon Men B Fasly Or Bandgi Zara Zara
Kis Ada Se Maang Lon K Mil Jaye Tu Mujhy
Ek Dua Muntzr-e-Lab Or Ajzi Zara Zara
Kabi Hijar Men B Qaraar Hy Kabi Dharknon Se B Uljhnein
Na Hosh Hy Na Khud Ki Khabar Or Diwangi Zara Zara
Ae Dil Kaanch K Ye Khawab Hen Palken Khuli To Kuch Nahi
Bari Hasrten Hain Jeeny Ki Or Zindgi Zara Zara..

wasi shah
wasi shah
Tum ne pocha hy chalo tum ko bata dety hain,
Jo hm pr guzri hy tum ko b suna dety hain,
Tery bad hmein khud pe b aitbar nhi,
Lafz likhty hain likh kar mita dety hain,
Nami aankho mein liye logon se kabi hans lain,
To aisa lagta hy k khud ko saza dety hain,
Teri yaad se ek pal b ghafil na rahy,
Youn hi dil k behel jane ko bhola dety hain,
Hum ne hans k tery sath guzary thay kabi
Yaad aty hain jo wo pal to rula dety hain..

Saturday, 3 May 2014
Aawargi mei mohsin is ko b hunar jana,
Aawargi mei mohsin is ko b hunar jana,
Iqrar-e-wafa kerna, phir us se mukar jana
Jab khwab nahi koi, kya zindagi ka karna
Har subh ko jee uthna har raat ko mar jana
Shab bhar k thikane ko ik chatt k siwa kya hy,
Kya waqt pe ghar jana, kya dair se ghar jana
Aisa na ho darya mei tum baar-e-garaan thehro,
Jab log ziada hon kashti se utar jana
Suqraat k peene se kya mujh pe ayaan hota,
Khud zehr piya mei ne tab us ka asar jana
Jab bhi nazar aao gy hum tum ko pukaren ge,
Chaho to thehar jana chaho to guzar jana..!!

Subscribe to:
Posts (Atom)